Kitne mousam sargardaan the mujh se hath milane main

Kitne mousam sargardaan the mujh se hath milane main
 Main ne shaayed dair lagadi khood sey baahar aane main


Ek nighah ka san’nata hai ek aawaaz ka banjar pan
 Main kitna tanha baitha hun qurbat ke veerane main


Bistar se karwat ka rishta toot gaya ek yaad ke saath
 Khaab sarhane se uth baitha takiye ko sarkaney main


Aaj uss phul ki khushbu mujh main paiham shor machati hai
 Jis ne be had ujlat barti khilne aur murjhaane main


Baat banaane wali ratein rang nikharne wale din
 Kin rastoN par chhoR aaya main umr ka sath nibhane main


Aik malal ki gard samete main ne khood ko paar kia
 Kaise kaise wasl guzare hijr ka zakhm chhupane main


Jitne dukh the jitni umeedein, sab se brabar kam liya
 Main ne apne aayinda ki ek tasweer banaane main


Aik wazahat ke lamhe main mujh par ye ahwaal khula
 Kitni mushkil paish aati hai apna haal bataane main


Pahlay dil ko aas dilaa kar beparwaaa ho jata tha
 Ab to Azm bikhar jata hun main khud ko bahlane main