jo uss nay kiya ussay silla day

jo uss nay kiya ussay silla day
 molla mujhay sabar ki jaza dai

ya mere diyeah ki loo barha day
 ya raat ko subah say milla day

sach hoon tu mujhay amar bana day
 jhoota hoon tu naqash sab mitta day

yeah qoum ajeeb hoo gai hai
 iss qoum ko khoye anbiya dai

bachoon ki tarhaan yeah lafaz mere
 maboob inhain bolna sikha dai

mujh say mera koi milnay walla
 bichra tu nahi magar milla day

chehra mujhay apna daikhnay ko
 aab dast e hawas mein aaina day

kaya cheez hai khawahish e badan bhi
 har baar naya hee zaiqa dai

choonay mein yeah dar kay marna jaoon
 choo loon tu woh zindagi sawa dai....