Jo Na-Mumkin Hai Chaahta Kyun Hoon

Jo Na-Mumkin Hai Chaahta Kyun Hoon
Tujhse Hi Tujhko Maangta Kyun Hoon
 
 
Koi Mujhpe Bhi Jaan Nisaar Kare
Aise Armaan Paalta Kyun Hoon
 
 
Dil Toh Veeraan Hai Ek Zamaane Se
Aaj Bhi Issme Jhaankta Kyun Hoon
 
 
Apni Tanhayee Se Gale Lag Kar
Raat Aankhon Me Kaat-Ta Kyun Hoon
 
 
Zikr Kaanton Ka Hai Kubool Mujhe
Baat Phoolon Ki Taalta Kyun Hoon
 
 
Kar Ke Taqseem Sab Me Khushiyon Ko
Sare Gham Khud Sanbhal-Ta Kyun Hoon