Har Ek Chehray Ko Zakhmon Ka Aaina Na Keho

Har Ek Chehray Ko Zakhmon Ka Aaina Na Keho
Yeh Zindagi Tu Hai Rehmat Issay Saza Na Keho


Na Jaanay Ko Koun Si Majbooriyon Ka Qaidi Ho
Who Saath Choor Gaya Hai Tu Bewafa Na Keho


Tamam Shehar Nay Nazron Pay Kion Uchaala Mujhay
Yeh Itifaaq Tha Tum Is Ko Haadsaa Na Keho


Yeh Aur Baat K Dushman Howa Hai Aaj Magar
Who Mera Dost Tha Kal Tak Ussay Bura Na Keho


Humaray Aaib Humain Ungliyon Pay Ginwaao
Humari Peet K Peechay Humain Bura Na Keho