Had-e-jana say guzar hoa to, mohabbaton ka pata chalay ga

‘Had-e-jana say guzar hoa to, mohabbaton ka pata chalay ga
Koi mohabbat ke nazar hoa to, mohabbaton ka pata chalay ga


Abhi to phirtay ho doston main, azeez koi juda nahi hai
 Koi idhar say udhar hoa to, mohabbaton ka pata chalay ga



ye khush naseebi hai sheher bhar mai tumhara dushman nahi hai koi
kabhi kisi ka jo darr huwa to, muhabbaton ka pata chale ga



ye faasla jo abhi talak hamare dono ke darmiyan hai
ye faasla mukhtasir huwa to, muhabbaton ka pata chale ga



Abhi mohabbat nahi hoi na. kuch isiliay muskara rahay ho
Kisi ke bahoon main ghar hoa to , mohabbaton ka pata chalay ga



MUHABATON mai pathron ko mom hoty suna hai laikn,
Tumhary dil pe asar howa to MUHABATON ka pata chalyga.’



Wo jiske khatir bana rahay ho,zamanay bhar ko tum apna dushman
Woh he na apna agar hoa to , mohabbaton ka pata chalay ga


badal badal ke wo apne chehre mayaar apna bana rahe ho
koi na had’e'nazar huwa to, muhabbaton ka pata chale ga



Yi kya bicharna ki sham hoty hi apny pyaron mai loot aana,
Kabhi jo lamba safar howa to MUHABATON ka pata chalyga.