Ek Shaksh Raat Phir Meri Hasti Pe Chha Gaya..

Ek Shaksh Raat Phir Meri Hasti Pe Chha Gaya..
Etna Qareeb Aaya Ke Rooh Me Sama Gaya..

 Woh Ek Pal Jo De Gaya Aasodgi Ke Sath;
Jazbon Ki Taza Dhoop Me Paagal Bana Gaya..
...

Pehle Mere Wajood Par Utra Woh Boond-Boond;
Barsa Toh Phir Ghataa Ki Tarha Mujh Pe Chha Gaya..

 Woh Jab Mila To Piyaas Se Labb Khushk The Bahot;
Lauta To Hasraton Ko Woh Paani Pila Gaya..

 Paband Kar Gaya Mujhko Lamhon Ki Qaid Me;
Aankhon Pe Apni Yaad Ke Pehre Bitha Gaya..