Chaman ka haal to yeh hay ke khaak urrti hay

Chaman ka haal to yeh hay ke khaak urrti hay
    kidhar say ho kay bahaaroN kay kaarwaaN guzray

    dayaar-e-yaar ka saara safar anokha tha
    qadam, qadam pay naya day kay imtehaaN guzrey

    saba bhi aai to phooloN kay muNh jhulsa kay gai
    yahaaN say abr bhi barsaa kay bijliyaaN guzray

    kabhi to waar raqeeboN kay day gaey thay mazaa
    kabhi to pyar azeezoN kay bhi giraaN guzray

    ay dil sambhal ke kisi ko hisaab daina hay
    ke zindagaani kay lamhey kahaN, kahaN guzray