Chahat teri chhupa ke jiye ja raha hun main,

Chahat teri chhupa ke jiye ja raha hun main,
khud ko hasin fareb diye ja raha hun main,


tu bewafa hai phir bhi mera honsla to dekh,
tujh pe wafa nisar kiye ja raha hun main,


bharke tere daman mai musarrat ki kahkashan,
saugat aansuo ki liye ja raha hun main,


ruswa na ho jaye tu is jahan mai isliye,
honto ko apne khud hi siye ja raha hun main,


murat teri tarash kar poojunga isliye,
pathar teri gali ka ek liye ja raha hun main…