Chaand nikleygaa dhundhalkey mein aaj shaam key ba'ad!
Kuchh nayaa hogaa mahalley mein aaj shaam key ba'ad!!
Raat hotey hee, sarey baam roshnee hogee;
Shama'a jaleygi nahin, go ki, aaj shaam key ba'ad!
Kiskey aaney ki khabar sey hain shajar-o-gul mushtaaq?
Kiskey koochey mein tahal hogee aaj shaam key ba'ad?
Un ney, haalaanki, hamain ittilaa nahin dee hai;
Fir bhi, ham bhi wahin pahuncheyngey aaj shaam key ba'ad!
'Abd' andheyroun-ujaaloun mein jang hai jaaree;
Na jeet paayegaa andhiyaaraa, aaj shaam key ba'ad!