Skip to main content

zaKhm-e-tanhaa_ii me.n Khushbuu-e-hinaa kisakii thii

zaKhm-e-tanhaa_ii me.n Khushbuu-e-hinaa kisakii thii
saayaa diivaar pe meraa thaa sadaa kisakii thii

uskii raftaar se lipaTii rahii merii aa.Nkhe.n
us ne mu.D kar bhii na dekhaa ki vafaa kis kii thii

vaqt kii tarah dabe paa.Nv ye kaun aayaa hai
mai.n a.Ndheraa jise samajhaa vo qabaa kis kii thii

aa.Nsuo.n se hii sahii bhar gayaa daaman meraa
haath to mai.n ne uThaaye the duaa kisakii thii

merii aaho.n kii zabaa.n koii samajhataa kaise
zindagii itanii dukhii mere sivaa kisakii thii

aag se dostii us kii thii jalaa ghar meraa
dii ga_ii kis ko sazaa aur Khataa kisakii thii

mai.n ne biinaa_iyaa.N bo kar bhii a.ndhere kaaTe
kis ke bas me.n thii zamii.n abr-o-havaa kis kii thii

chho.D dii kis liye tuu ne "Muzaffar" duniyaa
justjuu sii tujhe har vaqt bataa kisakii thii

Popular posts from this blog

Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai

HAZRAT ABBAS (A.S) Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai Sab kehne ki baataian hai falaq hai na zameen hai Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hain Zakhmi hai magar kerbala kitni haseen hai Jannat kahian duniya mein agar hai to yahian hai Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai Utna he yaqeen hai teri imdad ka muj ko Jitna mujy zehra ki duaoon ka yaqeen Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai Kyon medhat-e-abbas mein luqnat hai zaban ko Daikhoo kahian mehfil mein sakina to nahian hai Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai Kab maskh chedi yaad hai abbas ko lakin Kab kat gae shaane ye unhian yaad nahian hai Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai Humrah-e-imam ayain gian abbas bhi aik din Is baat ka her toote hue dil ko yaqeen hai Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen Zakhmi hai magar kerbala kitni haseen hai Jannat kahian duniya mein agar hai to yahian hai

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Gham-e-Doran ko sada mujh se shikayat hi rahi,

Gham-e-Doran ko sada mujh se shikayat hi rahi,  Mere Aalfaaz main dhalti teri soorat hi rahi,  ...Zehen kehta tha teri shakl bhula kar rakh dun,  Par mere dil ko sada mujh se baghawat hi rahi,  Dushman-e-jan bhi mujhe jan se mehboob raha,  Teri ulfat ki mere dil pe hakomat hi rahi, Yun to jo chaha zamane me mila mujh ko Phir bhi aa dekh mujhe teri zaorat hi rahi...