Tujhi ko jo yaan jalwa farma na dekha

Tujhi ko jo yaan jalwa farma na dekha,
Baraabar hai duniya ko dekha na dekha.


Mera ghuncha-e-dil hai woh dil-grifta,
Ke jis ko kaso ne kabhi wa na dekha.


Aziat, musibat, malaamat, balaaen,
Tere ishq mein ham ne kya kya na dekha.


Kiya mujh ko daghon ne sarv-e-chiraghan,
Kabho tu ne aakar tamaasha na dekha.


Taghaful ne tere yeh kuchh din dikhae,
Idhar tu ne lekin na dekha, na dekha.


Hijaab-e-rukh-e-yaar the aap hi ham,
Khuli aankh jab, koi parda na dekha.


Shab-o-roz ai Dard darpai hun uske,
Kaso ne jise yaan samjha na dekha