Skip to main content

Teri Yaad Hai Andhere Mein Ujalay Ki Tarah

Teri Yaad Hai Andhere Mein Ujalay Ki Tarah
Kisi Haseena Ke Bikhray Howay Baalon Ki Tarah


Ghabra Jata Hun Jub Bhe Chup Rahon Isi Lye
Mein Bolta Rehta Hun Duniya Waalon Ki Tarah


Apne Hissay Ke Dukh Bunti Rehti Hai Zindagi
Band Kamray Mein Lagay Howay Jaalon Ki Tarah


Wo Mujhe Har Haal Mein Apnaana Chahti Thi
Magar Raddi Mein Biktay Howay Risaalon Ki Tarah


Tanhaayian Chup Chaap Dabooti Raheen Aur Mein
Shor Machata Reh Gaya Nadi Naalon Ki Tarah


Ek Chehra Sadaa Mere Saath Raha….
Kubhi Lamhay Ki Tarah Kubhi Saalon Ki Tarah….!

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.