Skip to main content

teraa hijr meraa nasiib hai teraa Gham hii merii hayaat hai

teraa hijr meraa nasiib hai teraa Gham hii merii hayaat hai
mujhe terii duurii kaa Gham ho kyo.n tuu kahiin bhii ho mere saath hai

mere vaaste tere naam par koii harf aaye nahii nahii
mujhe Khauf-e-duniyaa nahii magar mere ruu-ba-ruu terii zaat hai

teraa vasl ai merii dilrubaa nahii merii kismat to kyaa huaa
merii mahajabii.n yahii kam hai kyaa terii hasaraton kaa to saath hai

teraa ishq mujh pe hai maharabaaN mere dil ko haasil hai do jahaaN
merii jaan-e-jaaN isii baat par merii jaan jaaye to baat hai

 

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng