Skip to main content

subah raato.n me.n bikhar jaatii hai

subah raato.n me.n bikhar jaatii hai
shaam baaho.n me.n utar jaatii hai


din sulag uThataa hai chandan kii tarah
raat naagan sii lipaT jaatii hai


kisii gumbad kii sadaa kii maanind
fikr ko fikr hii doharaatii hai

[gumbad = dome; sadaa = call]
[maanind = like/similar to; fikr = worry]


qaafile se mujhe rahane do alag
bhii.D me.n ruuh bikhar jaatii hai

[qaafilaa = caravan; bhii.D = crowd; ruuh = soul]


laajavantii hai kisii shoKh kii yaad
dil bhii dha.Dake to simaT jaatii hai


Dolii aa.Nkhon kii hai suunii "Hurmat"
niind mahabuub (se/sii?) sharmaatii hai

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.