Skip to main content

Rukhsat hua to baat meri maan kar gaya



Rukhsat hua to baat meri maan kar gaya
jo us k pas tha woh mujhay daan kar gaya


bichhra kuch is ada se k rut hi badal gayee
aik shakhs saray shahar ko veeran kar gaya


dilchasp waqiya hay k kal aik aziz dost
apnay mafad par mujhay qurban kar gaya


kitni sudhar gayee hay judayee main zindagi
han woh jafa se mujh pe to ehsan kar gaya


khalid main baat baat pe kehta tha jis ko jaan
woh shakhs akhir mujhay bejan kar gaya

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.