Skip to main content

raah aasaan ho ga_ii hogii

raah aasaan ho ga_ii hogii
jaan pahachaan ho ga_ii hogii

phir palaT kar nigaah nahii.n aa_ii
tujh pe qurabaa.N ho ga_ii hogii

terii zulfo.n ko chhe.Datii thii sabaa
Khud pareshaa.N ho ga_ii hogii

maut se tere dard_mando.n kii
mushkil aasaan ho ga_ii hogii

un se bhii chhiin loge yaad apanii
jin kaa imaan ho ga_ii hogii

dil kii taskiin puuchhate hai.n aap
haa.N merii jaan ho ga_ii hogii

marane vaalo pe 'Saif' hairat kyo.n
maut aasaan ho ga_ii hogii

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.