Skip to main content

naqsh yadon ka mitaati he to ro parti hai

naqsh yadon ka mitaati he to ro parti hai
wo mera khatt jo jalati he to ro parti hai


khoon dikhta he mery marty hoye supno ka,
khuwab ankhon main basati he to ro parti hai


log poochty hen jo gehri udaasi ka sabab,
baat logon se chupaati hai to ro parti hai


yaad karti he mujhy toot kar us lamhe,
shaam chehra jo dikhaati hai to ro parti hai


wo bary zubt bhary hosly wali lerki,
ghum ko tahreer banati he to ro parti hai
 

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.