Skip to main content

nahii.n ki milane milaane kaa sil_silaa rakhanaa



nahii.n ki milane milaane kaa sil_silaa rakhanaa
kisii bhii satah pe ko_ii to raabtaa rakhanaa

[satah=level; raabtaa=relationship]


madad kii tum se tavaqqo to Khair kyaa hogii
Gariib-e-shahar-e-sitam huu.N meraa pataa rakhanaa

[madad=help; tavaqqo=expectation]


mare.nge aur hamaare sivaa bhii tum pe bahut
ye jurm hai to phir is jurm kii sazaa rakhanaa

naye safar pe ravaanaa huaa hai az-sar-e-nau
jab aa_uu.Ngaa to meraa naam bhii nayaa rakhanaa

[az-sar-e-nau=a fresh start]


hisaar-e-shauq uThaanaa 'Zafar' zaruur magar
kisii taraf se nikalane kaa raastaa rakhanaa

[hisaar-e-shauq=bonds of desire]