Khaatir se ya lihaaz se maiN maan tau gaya

Khaatir se ya lihaaz se maiN maan tau gaya
 jhhooTi qasam se aap ka iimaan tau gaya

dil le ke muft kehte haiN kuchh kaam ka nahiN
 ulTi shikaayateiN huiiN, ehsaan tau gaya

Darta huN dekh kar dil-e-be_aarzoo ko maiN
 sunsaan ghhar yeh kyoN na ho, mehmaan tau gaya

kya aaye, raaHat aayi jo kunj-e-mazaar meiN
 woh walwala, woh shauq, woh armaan tau gaya

dekha hai butkaday meiN jo ai shaiKh kuchh na poochh
 iimaan ki tau yeh hai, ke iimaan tau gaya

afshaa-e-raaz-e-ishq meiN go zillateiN huiiN
 lekin usay jataa tau diya, jaan tau gaya

go naamabar se Khush na huwa, par hazaar shukr
 mujh ko woh mere naam se pehchaan tau gaya

bazm-e-a'duu meiN soorat-e-parwaana dil mira
 go rashk se jalaa, tire qurbaan tau gaya

hosh-o-hawaas-o-taab-o-tawaaN DaaGh jaa chukay
 ab hum bhi jaane waale haiN, saamaan tau gaya