Skip to main content

Gazab ka husno sabab dekha

Gazab ka husno sabab dekha
zameen par mahtab dekha

Khiza raseeda chaman mein aksar
Khila khila sa gulab dekha

Kisi ke rukh pe parisa gesoo
kisi ke rukh pe nakab dekha

Wo aae milne yakin kar loo
Ki meri aankho ne khwab dekha

Lo tooti tauba lo chhanke sagar
Jo unko peete sarab dekha

Na dekhoo roze hisab ya rab
Zamee pe jitna azab dekha

Milega insaf kaise 'shahid'
sadakto pe nakab dekha

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.