Skip to main content

Posts

Showing posts from July, 2012

Dil me basai thi tasvir mita dena

Dil me basai thi tasvir mita dena Aankhon me basaya tha nazron me gira dena Tum ko to wafa meri kuch raas na aai Jati hoon tere dar se mujhko na sada dena Jab tum se koi pooche baaten meri wafaon ki Tum meri wafaon par ilzam laga dena Fir oski tamanna keya jo gair ka ho jaye Bas itni guzarish hai tum mujhko bhula dena

Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye

Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye Meri Dastane Hasrat Suna Suna ke Roye Teri Bewafaiyon Par, Teri Kaj Adaiyon Par Kabhi Sar chupa Ke Roye, Kabu Munh Chupa Ke Roye Jo Sunai Anjuman Men Shab-e0 Gham Ki Aab-biti Kabhi Ro ke Muskaraye, Kabhi Muskara Ke Roye Main Hun Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi Hai Mera Koi Bhi Nahin Hai Jo Gale Laga Ke Roye Mere Paas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Poocha Main Yeh Kaise Maan Jaun Ke Woh Dur Ja KE Roye

Gazab ka husno sabab dekha

Gazab ka husno sabab dekha zameen par mahtab dekha Khiza raseeda chaman mein aksar Khila khila sa gulab dekha Kisi ke rukh pe parisa gesoo kisi ke rukh pe nakab dekha Wo aae milne yakin kar loo Ki meri aankho ne khwab dekha Lo tooti tauba lo chhanke sagar Jo unko peete sarab dekha Na dekhoo roze hisab ya rab Zamee pe jitna azab dekha Milega insaf kaise 'shahid' sadakto pe nakab dekha