Chaman Roye, Hanse Shabnam, Bayabaan Par Nikhaar Aaye
Ek Aysa Bhi Niyaa Maosam Mere Parwardigaar Aaye,
Woh Sar Khole Hamaari Laash Pe Deewana-Waar Aaye
Isi Ko Maot Kehte Hain To Yaa Rab Baar Baar Aaye,
... Sar Gaor-e-Ghareebaan Aao Lekin yeh Guzaarish Hai
Wahaan Munh Pher Ko Ronaa Jahaan Mera Mazaar Aaye,
Bahaa Aye Cashm-e-Tar Ek Aysa Bhi Aansu Nidamat ka
Jise Daaman Pe Lene Rehmat-e-Parwardigaar Aaye,
Na Jaane Kiya Samajh Kar Chup Hoon Aye Sayaad Warna
Woh Qaidi Hoon Garche Hoon, Qafas Mein Bhi Bahaar Aaye,
"Qamar" Dil Kiya Hai Main To Unki Khater Jaan Bhi De Doon
Meri Qismat, Agar Unko Na Pher Bhi Etbaar Aaye.