Neend Aajaye To Kiya Mehfilen Barpaa Dekhoon

Neend Aajaye To Kiya Mehfilen Barpaa Dekhoon
Aankh Khul Jaaye To Tanhai ka Sehraa Dekhoon,

Kaash Snadal Se Meri Maang Ujaale Aa Kar
Itne Ghayron Mein Wohi Hath Main Apna Dekhoon,

... Main Tera Kuch Nahi Lagta Magar Jaan-e-Hayaat
Jaane Kiyoon Tere Liye Dil Ko Dharakta Dekhoon,

Maine Jis Lamhe Ko Puja Hai Bas Ek Baar Usay
Khawab Ban Kar Teri Aankhon Mein Utarta Dekhoon,

Toot Jaaien Kay Pighal Jaaien Mere Kache Ghare
Tujh Ko Dekhoon Kay Main Aag Ka Dariya Dekhoon.