Main Jis ko Ek Umr Sambhaale Phiraa kiyaa

Main Jis ko Ek Umr Sambhaale Phiraa kiyaa
Mitti Bataa Rahi Woh Paikar Meraa Na Thaa,

... Mauj-e-Hawaa-e-Shaher-e-Muqaddar Jawaab De
Dariya Mere Na The K Samundar Meraa Na Thaa,

Pher Bhi To SangSaar kiyaa Jaa Rahaa Hoon Main
kehte Hain Naam Tak Sar-e-Mahazar Meraa Na Thaa,

Sab Log Apane Apane Qabeelon Kay saath Thay
Ek Main Hi Tha K koi Bhi Lashkar Meraa Na Thaa.