Meri aankhon mein umadd aaya hai dariya dil ka
Phir kaheen toot gayaa ho na kinaara dil ka
Bas mohabbat se riwaayat hai kahaani dil ki
Chaar harfon se ibaarat hai fasaana dil ka
Us ne daali he nahi bheek nazar ki or main
Liye aankhon mein reh gayaa kaasa dil ka
Saans rukti hai to phir jaan ka khayaal aata hai
Dil dharakta hai to lag jaata hai dharkaa dil ka
Isi koshish mein bohat umar ganwaa di maine
Phir bhi poora na huwaa mujh se khasaara dil ka
Meri payaab tamannaain bataati hain mujhay
Sookh jaaiy ga koi roz mein dariyaa dil ka
Badli badli si sadaa deti hai dharkan dil ki
Hijr mein or he ho jaata hai lehjaa dil ka
Kiyoon na aiy dost abhi tark-a-mohabbat kar lein
Is se pehlay ke badal jaaiy iraada dil ka
Fikr-a-duniya mein mere dil ko bhullanay waalay
Teri duniya se zayaada hai asaasa dil ka
Ishq kaatay ga abhi or chataanein SAAGAR
Aqal dekhay gi abhi or tamaasha dil ka
Urdu Shayari world 786 is such a website which provide you all kinds of poetry new and old in Indian and Pakistani Collections of poets are available. The Poetry is in every sense enough to suit every occasion like romantic poetry Attitude Poetry sad poetry Faiz Ahmed Faiz Poetry Ahmed Faraj Poetry Mirza Ghalib Poetry Parveen Shakir poetry, John Elia Poetry we hope that you will like our little effort.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
-
chere main ne kabhi lab-o-rukhsar ke qisse gahe gul-o-bulbul ki hikaayat ko nikhaaraa gahe kisi shahazaade ke afsane sunaaye gahe kyaa duni...
-
Jin Ko Dhoke Se Kufa Bulaya Gaya Jin Ke Bachchon Ko Pyaasa Rulaya Gaya Jin Ke Gardan Pe Khanjar Chalaya Gaya Us Hussain Ibne Haider Pe Lakh...
-
Silsile tor gaya wo sabhi jate jate Warna itne to marasim thai ke aate jate Shikwa e zulmat e shab se to behtar tha Apne hisay ki koi shama...
No comments:
Post a Comment