kis se puuchhe.n ham ne kahaa.N wo cheharaa-e-roshan dekhaa hai

kis se puuchhe.n ham ne kahaa.N wo cheharaa-e-roshan dekhaa hai
mehfil mehfil Dhuu.NDh chuke hai.n gulshan gulshan dekhaa hai


kis ko dekhe.n kis ko na dekhe.n, phuul bhii hai.n kaliyaa.n bhii magar
jis se lagaayii aa.Nkh usii ko dil kaa dushman dekhaa hai


rang-e-bahaar-e-subah-e-gulistaa.N kyaa dekhe wo diiwaanaa
jis ki nazar ne ek hii gul me.n saaraa gulshan dekhaa hai


ahl-e-wafaa kii Khuun kii chhii.nTe.n duur tak u.Dakar jaatii hai.n
meraa ta.Dapanaa dekhane waale apanaa bhii daaman dekhaa hai?


aaj u.nhe.n jo chaahe samajh lo warnaa yahii 'taskii.n' hai.n ji.nhe.n
kal tak ham ne kuu-e-butaa.N me.n Khaak_ba_daaman dekhaa hai