Khudaa ke vaaste ab beruKhii se kaam na le


Khudaa ke vaaste ab beruKhii se kaam na le
ta.Dap ke phir ko_ii daaman ko tere thaam na le

bas ek sajdaa-e-shukraanaa paa-e-naazuk par
ye maikadaa hai yahaa.N par Khudaa kaa naam na le

zamaane bhar me.n hai.n charche merii tabaahii ke
mai.n Dar rahaa huu.N kahii.n ko_ii teraa naam na le

miTaa do shauq se mujh ko magar kahii.n tum se
zamaanaa merii tabaahii kaa intaqaam na le

jise tuu dekh le ik baar mast nazaro.n se
vo umr bhar kabhii haatho.n me.n apane jaam na le

rakhuu.N ummiid-e-karam us se ab mai.n kyaa "Sahir"
ki jab nazar se bhii zaalim meraa salaam na le