Skip to main content

Posts

Showing posts from October, 2017

Kaho To Laut Jate Hain

Kaho To Laut Jate Hain Abhi To Baat Lamhon Tak He Saalon Tak Nahi Aai Abhi Muskaanon Ki Nobat Bhi Naalon Tak Nahi Aai Abhi To Koi Majborri Khiyaalon Tak Nahi Aai Abhi To Gard Peroon Tak Hay Baalon Tak Nahi Aai Kaho To Laut Jate Hain Chalo Ek Faisla Karne Shajar Ki Aut Jate Hain Abhi Kajil Ki Dori, Surkh Galon Tak Nahi Aai Zubaan Datoon Talak Hai Zehr Piyaalon Tak Naheen Aai Ibhi To Mushk-E-Kustori Ghazaloon Tak Nahin Aai Ibhi Rodad-E-Beunwaan Humaray Darmian He, Duniyan Waaloon Tak Nahin Aai Kaho To Lout Jatan Hain Chalo Ik Faisala Karnay Sharjer Ki Out Jatan Han Abhi Nazdeek Hein Ghar Aur Manzil Door He Apni Mubada Naar Ho Jayay Ye Hesti Noor Hai Apni Kaho To Lout Jatay Han Chalo Ik Fasala Karnay Shajar Ki Out Jatan Han. Ye Rasta Piyar Ka Rasta, Rasan Ka Daar Ka Rasta, Bohat Dushwar He Jaana Keh Is Rastay Ka Her Zarra Bhi Ik Kohsar He Jana. Kaho To Lout Jatay Hain Maray Baray Na Kuch Socho Mujhay Tay Karna Ata He Rasan Ka Daar Ka Rasta Ye Asaiboon Bhara Rasta Ye Andhi Ghaar Ka Rasta T...

Aaj Kafan Mai Hon To Tu Rone Ko Ayi Hai

Aaj Kafan Mai Hon To Tu Rone Ko Ayi Hai Kal Tak Rota Tha Jiske Liye WO Zakhm Dhone Ko Ayi Hai Kaha Tha Na Nahi Milega Mujh jaisa Ashiq Tumhe Jo Tumhare Zulm o Sitam Bhi Sahe Aur Tum Se Muhabbat Bhi Kare Jis Tarah Tu Mujhe Chor Gayi Thi Beech Safar Mai Adhora Dekh Usi Adhore Safar Se Mar Kar Mai Jaraha Hon Tujhse Kiya Tha Wada Ke Tere Bin Ek Pal Na Jeeyonga Dekh Wo Wada Bhi Isi Liye Aaj Mai Nibha Raha Hon Maine Kaha Tha Agar Tu Mujhe Na Mili To Na Reh Paonga Mar Jaonga Bin Tere Khud Ko Fana Kar Jaonga Na Rona Mere Janaze Pe Meri Jaan meri Rooh Bhi Ro Paregi Tumhe Khush Rakhne Ka Khud Se Wada Kiya Tha Mera Wada Totega Aur Meri Rooh Bhi Tarpegi Bas AIk Hi Ghum Marne Ka Mujhe Hamesha Hi Rahega Meri Maa Ka Wo Nalayak Beta Na Rahega Kitne Hi Dukh Unko Unki Zindagi Mai Dikhaye Mere Liye Na Jane Unho Ne Kitne Anso bahaye Mar Kar Bhi Unko Udas Kiye Jaraha Hon Mere Khuda Dekh Is Zalim Dunya Ko Chor Tere Pas Araha Hon Jo Galti Maine Ki Usay Na Tum Mere Doston Dohrana Hath Jorta Hon Mai Ke Meri T...

Silsile tor gaya wo sabhi jate jate

Silsile tor gaya wo sabhi jate jate Warna itne to marasim thai ke aate jate Shikwa e zulmat e shab se to behtar tha Apne hisay ki koi shama jalate jate Kitna asaan tha tere hijar mai marna jaana Phir bhi ik umer lagi jaan se jate jate Jashan e maqtal hi na barpa howa warna hum Paa bajalon hi sahi nachte gaate jate Uski wo jane usay pas e wafa tha ke na tha Tum apni taraf se to faraz nibhate jate

Ku Ba Ku Phail Gai Baat Shanasai Ki

Ku Ba Ku Phail Gai Baat Shanasai Ki Us Ne Khushbu Ki Tarah Meri Pazirai Ki Kaise Keh Dun K Mujhe Chor Diya Hai Us Ne Baat To Sach Hai Magar Baat Hai Ruswai Ki Wo Kahin Bhi Gaya Lauta To Mere Pas Aaya Bass Yahi Baat Hai Achi Mere Harjai Ki Tera Pehlu Tere Dil Ki Tarah Abaad Rahe Tujh Pe Guzre Na Qayamat Shab-E-Tanhai Ki Us Ne Jalti Hui Peshani Pe Jo Hath Rakha Rooh Tak Aa Gai Taasir Masihai Ki

Ek Baat Kahon Agar Sunte Ho

Ek Baat Kahon Agar Sunte Ho Tum Mujhko Achhe Lagte Ho Kuch Chanchal Se Kuch Chup Chup Se Kuch Pagal Pagal Lagte Ho Hain Chahne Wale Aur Bahut Par Tum Mein Hai Ek Baat Bahut Tum Apne Apne Lagte Ho Ek Baat Kahun Agar Sunte Ho Tum Mujhko Achhe Lagte Ho Ye Baat Baat Pe Kho Jana Kuch Kehte Kehte Ruk Jaana Ye Kis Uljhan Mein Rehte Ho Kya Baat Hai Hum Se Keh Dalo Ek Baat Kahoon Agar Sunte Ho Tum Mujhko Ache Lagte Ho

Din Raat Ke Aane Jaane Mein

Din Raat Ke Aane Jaane Mein Duniya Ke Ajayab Khane Mein Kabhi Sheeshe Dhundle Hote Hai Kabhi Manzar Saaf Hote Hai Kabhi Surat Baat Nahi Karta Kabhi Taare Aankh Badalte Hai Kabhi Manzil Pichhe Rehti Hai Kabhi Aasein Tod Nai Chadtein Kabhi Khushi Puri Hoti Hai Kabhi Aankhein Dekh Nahi Sakti Kabhi Khawab Adhure Hote Hai Ye Sab To Sahi Hai Lekin Aashob Ke Manzar Khane Mein Duniya Kya Ajayab Khane Mein, Kuch Saya Karti Aankho Ke PaiMan To Dikhayi Dete Hai Hathon Se Agarche Door Sahi IMkaan To Dikhayi Dete Hai Haan Ret Ke Us Darya Ke Paar Ek Pairon Wali Basti Ke Unwaan To Dikhayi Dete Hai Manzil Se Koson Door Sahi Pur Dard Sahi Ranjoor Sahi ZakhMose Musafir Choor Sahi Par Kisse Kahein Ye Jaan-E-Wafa Kuch Aise Ghaav Bhi Htoe Ahi Jinhe ZakhMi Aap Nahi Dhote Bin Roye Hue Aansu Ki Tarah Seene Mein Chupa Kar Rakhte Hai Aur Saari UMr Nai Rote Neendein Bhi Muhaya Hoti Hai, Sapne Bhi Door Nahi Hote Ab Kisse Kahein Aye Jaan-E-Wafa Ye Ahel-E-Wafa Kis Aag Mein Jalte Rehte Hai Kyon Bujh Kar Rakh Nahi Ho...

Uski Aankhon Main Mohabbat Ka Sitara Hoga

   Uski Aankhon Main Mohabbat Ka Sitara Hoga Ek Din Aaye Ga Wo Shakhs Hamara Hoga Tum Jahan Mere Liye Sipiyan Chunti Hogi Wo Kisi Aur Hi Duniya Ka Kinara Hoga Zindagi Ab Ke Mera Naam Na Shamil Karna Gar Ye Tay Hai Ke Yehi Khail Dobara Hoga Jis Ke Hone Se Meri Sasns Chala Karti Thi Kis Tarha Us K Bagair Guzara Hoga Ye Achanak Jo Ujaala Sa Huwa Jata Hai Dil Ne Chupkay Se Tera Naam Pukaara Hoga Ishq Karna Hai To Din Raat Usay Sochna Hai Aur Kuch Zehen Main Aaya To Khasara Hoga Ye Jo Pani Main Chala Aaya Sunehri Sa Gharoor Us Ne Darya Main Kahin Paun Utara Hoga Kon Rota Hai Yahan Raat Ke Sunnaton Mai Mere Jesa Hi Koi Hijar Ka Mara Hoga Mujh Ko Maloom Hai Junhi Main Qadam Rakhunga Zindagi Tera Koi Aur Kinara Hoga Jo Meri Rooh Main Baadal Se Garajte Hain WASI Usne Seenay Main Koi Dard Utara Ho Ga Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lunga Us Ko Mere Mola Ka WASI Junhi Ishara Hoga