Skip to main content

Posts

Showing posts from April, 2017

Khamosh lab hain jhuki hain palken

Khamosh lab hain jhuki hain palken Dilon mai ulfat nayi nayi hai Abhi takaluf hai guftugu mai Abhi muhabbat nayi nayi hai Abhi na ayegi neend tum ko Abhi na hum ko sukoon milega Abhi to dharke ga dil zyada Abhi ye chahat nayi nayi hai Bahaar ka aaj pehla din hai Chalo chaman mai tehel ke ayen Fiza mai khushbo nayi nayi hai Gulon mai rangat nayi nayi hai Jo khandani raees hain wo Mizaaj rakhte hain narm apna Tumhara lehja bata raha hai Tumhari dolat nayi nayi hai Zara sa qudrat ne kya nawaza Ke aake bethe ho pehli saff mai Abhi se urhne lage hawa mai Abhi to shohrat nayi nayi hai

Jinka irada ho sath nibhane ka mirza

Jinka irada ho sath nibhane ka mirza Wo janaze ke peche janaza laga dete hain

Teri baaton ko chupana nahi aata mujh se

Teri baaton ko chupana nahi aata mujh se Tune khushbo mere lehje mai basa rakhi hai

Khud ko manwane ka mujh ko bhi hunar ata hai

Khud ko manwane ka mujh ko bhi hunar ata hai Mai wo qatra hon samundar mere ghar ata hai

Mareez e muhabbat ko faqat deedar kafi hai

Mareez e muhabbat ko faqat deedar kafi hai Hazaron tib ke nuskhon se nigah e yaar kafi hai

Bethe bithaye yun kabhi aya tera khayal

Bethe bithaye yun kabhi aya tera khayal Hum laakh ghumzada thai magar muskura diye

Zulf ne bal koi khaya to bura maan gaye

Zulf ne bal koi khaya to bura maan gaye Chand badli mai jo aya to bura maan gaye Aur to sab ko pilate rahe mast ankhon se Hath saagar ne jo barhaya to bura maan gaye

Sari raat unki goad mai hamare anso girte rahe

Sari raat unki goad mai hamare anso girte rahe Subha howi to wo bole raat barish kamaal ki thi

Mujhe to is khabar ne hila ke rakh diya

Mujhe to is khabar ne hila ke rakh diya Ke mai kahin zinda dekha gaya hon

Har aik ke naseeb mai kahan likhi hain chahatain

Har aik ke naseeb mai kahan likhi hain chahatain Kuch log ate hain dunya mai faqat tanhaiyun keliye