Skip to main content

Posts

Showing posts from January, 2017

aaj phr rony ko ji chahta hay aaj phr toot k bkhrny ko g chahta hay

aaj phr rony ko ji chahta hay aaj phr toot k bkhrny ko g chahta hay aaj phr uthta hay dard senny may aaj phr say mar jany ko ji chahta hay aaj phr tum yaad behesab aa rhy ho aaj phr say tujhy bhulany ko ji chahta hay Aaaj phr tujhe mango Khuda say aaj dunya say guzar jany ko ji chahta hay Aaj ki din nay sataya hay buht Aaj k rat say dar jany ko ji chahta hay  aaj khood say b hon rothi rothi aaj qesmat ko bhi tarpany ko ji chahta hay

Khabar nahi thi Jo khuwab mein hai Wo khuwab mein bhi na mil saky ga

Khabar nahi thi Jo khuwab mein hai Wo khuwab mein bhi na mil saky ga Khabar nahi thi kisi bhi rutt mein bhi Ye phool dil ka na khil saky ga Wo un-kahi thi ke na rasai Jo qurbaton ka na aya mousam Wo un-kahi thi ke na rasai Jo qurbaton ka na aya mousam Ye mein ne socha kabhi nahi tha Ke sochne ki saza mily gi Muhabbaton ki praayi, baarishon mein Bheegne ki saza mily gi Badal geya hai qareeb aa ke Khuwahishon mein nahaya mousam

Itna ghreeb hon keh mere pas !!

Itna ghreeb hon keh mere pas !! Ab khoney ko tu bhi nahin raha !!

Insaan bhi dasta hai !!

Insaan Bhi Dasta Hai ____ Zehar daal keh lafzon main !!

Achon ko to sab he chahte hain !!

Achon ko to sab he chahte hain !! Hai koi keh boht buri hon main !!

Main ne asaab ko pat'thar ka bana rakha Hai !!

Main ne asaab ko pat'thar ka bana rakha Hai !! Ek dill Hai k banta he nahin pat'thar jaisa !!

kuch khamoshiaan !!

Kuch khamoshiaan aisi hoti Hain Jo smaaetoon k pardey phaar deti hain !!

ab key tajdeed e wafa ka nahin imkaan janaan !!

Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan janaan Yaad kya tujh ko dilaein tera peman janaan Younhi mosam ki ada dekh ke yaad aya hai Kis kadar jald badal jaate hein insaan janaan Zindagi teri aata thi so tere naam ki hai Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaan janaan Dil yeh kehta hai ke shaid ho afsurda tu bhi Dil ki kya baat karein dil to hai nadaan janaa

Chup chaap guzaar denge tere bina bhi ye zindagi

Chup chaap guzaar denge tere bina bhi ye zindagi Logon ko sekha denge muhabbat aise bhi hoti hai

Ankh ka kajal hon teri na roya kar itna

Ankh ka kajal hon teri na roya kar itna Rone se teri mit'ta hai wajood mera

Tera ye ishq jaan hai tehleel kis qadar

Tera ye ishq jaan hai tehleel kis qadar Khud ko bhi dhondte hain to tujh ko pukar ke

Har pal dehan mai basne wale

Har pal dehan mai basne wale Log afsane hojate hain Ankhen borhi hojati hain Khawab purane hojate hain

Is qadar pakeeza muhabbat ki hai tumse

Is qadar pakeeza muhabbat ki hai tumse Sar utha ke dekha bhi to Sirf paon tak

Wo husn o mujasim kamaal uski ankhen

Wo husn o mujasim kamaal uski ankhen Sarapa muhabbat Jamaal uski ankhen Jhuken to lagti hain zevar haya ka Uthen to Karen phir sawal uski ankhen Milen to mai dono jahan dekar lelon Wo chehra wo zulfen wo gaal uski ankhen Agar koi poche ke dunya mai Kya hai Dewana kahega misaal uski ankhen In ankhon ke kajal mai dooba hon shayad Ajab phir chali hain ye chaal uski ankhen

Kisi ke raaz talaash na karo

Kisi ke raaz talaash na karo agar Nazar ajayen to faash na karo

Hath se hath churana zarori to nahi

Hath se hath churana zarori to nahi Sath reh Kar bhi kayi log bichar jate hain

Cheekhen bhi yahan ghor se sunta nahi Koi

Cheekhen bhi yahan ghor se sunta nahi Koi Kin logon mai tum shair sunane nikal aye

Jitni chahat se tujh ko dekha hai

Jitni chahat se tujh ko dekha hai Itni chahat se Kuch nahi dekha Apni ankhon mai dekh lene do Maine muddat se Kuch nahi dekha

Maine rakhdi hain taak par ankhen

Maine rakhdi hain taak par ankhen Uske aane ki dair hai baaqi

Kitni purkaif hain Teri ankhen

Kitni purkaif hain Teri ankhen Sufiyana kalaam ho jaise

Mere chehre pe ghazal likhti gayin

Mere chehre pe ghazal likhti gayin Sher kehti howi ankhen uski

Ankhon mai de ke anso najane kidhar gaye

Ankhon mai de ke anso najane kidhar gaye Yadain hain bas tumhari hum to jidhar gaye Aao aur aake mujh ko samaito zara Tere bagair hum to tinka tinka bikhar gaye

Do ankhon mai do hi anso

Do ankhon mai do hi anso Ik Tere liye ik Teri khatir

jinke akhlaq acche or kirdar umda ho

jinke akhlaq acche or kirdar umda ho unki sohbat talash karo zaruri nahi jinke ird gird bheer jama ho wohi sahi ho bheer to khel dikha ke madari bhi jama karleta hai

Bas sun Kar Mera lehja wo samajhta hai sab acha

Bas sun Kar Mera lehja wo samajhta hai sab acha Muddat howi usne Meri ankhen nahi dekhin

Moujoda dour mai Ghar ko chor

Moujoda dour mai Ghar ko chor daakoan se mehfoz banane keliye wifi ka hona bohat zarori hai taake aik do bande sari raat jagte rahen

2017 bhi hum logon jaisa sust hi nikla

2017 bhi hum logon jaisa sust hi nikla pehle din hi chutti karli