Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2016

Baandh len hath pe seene pe saja len tum ko

Baandh len hath pe seene pe saja len tum ko Jee mai aata hai ke taweez bana len tum ko Phir roz tumhe sanwaren tumhe Barhta dekhen Kyun na aangan mai chambeli sa laga len tum ko Kabhi khawab ki tarah ankh ke parde mai raho Kabhi khawahish ki tarah dil mai bula len tum ko Raat ke seene mai hai jis tarah mehtab ka noor Us tarah apni tareek makano mai bulalen tum ko Hai kuch aisi aqeedat dil mai tere liye Hathon mai duaon sa utha len tum ko Ajab si shararat uthti hai mann mai Karke munna sa hawaon mai uchale tum ko Marne ki ijazat bhi to nahi dete ho Warna abhi mar jayen or mar kar mana len tum ko Is qadar toot ke tum pe pyar ata hai hame Apni banhon mai bharen or maar hi dalen tum ko Ab to yahi tamanna reh gayi hai dil mai Kahin pe bikhre howe milo aur sanbhalen tum ko

Dil Kahin Aur dastkhat Kahin Aur !!

Dil Kahin Aur dastkhat Kahin Aur !! Kya Kehte Hain Aise Nikah ko logo !! Poet ~~~ Murad Khan

Kat gaye darakht magar taluq ki bat thi

Kat gaye darakht magar taluq ki bat thi Bethe rahe zameen par parinde tamam raat

Maine usay parhaya likhaya qabil banaya

Maine usay parhaya likhaya qabil banaya ab wo itna qabil hai ke mai ab uske qabil nahi raha

Hon filhal khamosh to apni jeet mat samajhna

Hon filhal khamosh to apni jeet mat samajhna Zameen bhi sholay ughle gi jab aaya ruburu mai

Hum log bhi ajeeb hain

Hum log bhi ajeeb hain sawab ki khatir mare howe insan ko kaandha zaroor dete hain magar zinda insan ka sahara banne se katraate hain

Usko dekh leta tha to bhok mit jati thi

Usko dekh leta tha to bhok mit jati thi Meri ankhon ka rizq tha mere yar ka chehra

Apni hasti ki mai tumhe kya misaal don

Apni hasti ki mai tumhe kya misaal don Log mashhoor hogaye hame badnaam karte karte

Bethe bethe phenk diya hai atishdaan mai kya kya kuch

Bethe bethe phenk diya hai atishdaan mai kya kya kuch Mosam itna sard nahi tha jitni aag jala li hai