Skip to main content

Posts

Showing posts from January, 2016

**Is hadse pe aankh se aa'nsoo nikal gaye**

Is hadse pe aankh se aa'nsoo nikal gaye Kitne haseen log mashino'n me'n dhal gaye Duniya use sunegi to bus muskurayegi Jugnu pakarh raha thaa mere hath jal gaye Mausam ke intazar me'n kuchh log hai'n kharhe Kuchh log manzilo'n se aage nikal gaye Ham ko bhi apne khu'n se nahana thaa sham tak Suraj ke saath ham bhi safar par nikal gaye Ek shakh-e-gul jhuki thee hamare bahut qareeb Ham larh kharha gaye they magar phir sambhal gaye Kaghaz ke chand  tukrho'n ki umeed me'n "Hafeez" Le kar kaha'n kaha'n na ham apni ghazal gaye